Saturday, November 6, 2010

~* MOST FAMOUS GHAZALS*~

FAMOUS GHAZALS

 JIN YAADON MEIN KHOYA THA BICHARNE SE ZARA PEHLE

BARA KHUSH FEHEM SOYA THA BICHARNE SE ZARA PEHLE

WOH JIS KA HAATH TAK CHOONE KO BHI BE ADBI SAMAJHTA THA

GALLE SE LAG KAR ROYA THA ZARA BICHARNE SE PEHLE

ISKO MALOOM THA SHAYAD JUDDAI HAI MUQADDAR MEIN

WON KIN SOCHON MEIN KHOYA THA BICHARNE SE ZARA PEHLE

HAMARE PYAR K GULSHAN MEIN NAJANE KIS NE AA KAR

HAMARE PYAR K GULSHAN MEIN NAJANE KIS NE AA KAR

GHAMON KA BEEJ BOYA THA BICHARNE SE ZARA PEHLE
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
us k mehwar se nikalon to dunya nazar aye saqi,

har simat gham-e-hijir ke toofan hain saqi,
mat pooch k ham kitne pareshan hain saqi,

har chehra nazar ata hai tasveer ki soorat,
ham shahar ke logon se anjaan hain saqi,

jis shahar-e-mohabbat ne hamain loot liya hai,
us shahar se ab kooch ke samaan hain saqi,

kashti abhi umeedon kii doobii nahi hai,
phir kyn teri ankhon main toofan hai saqi,

kar in ka adab, rakh hamein seene se laga kar,
ye dard ye tanhaiyaan,mehmaan hain saaqi..!!
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Marti hoi zameen ko bachana para mjhe
badal ki taraha zameen pe ana para mjhe
us ajnabi se hath milane k waste
mehfil main sab se hath milana para mjhe
wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
phir yon hoa k mar k dikhaana para mjhe
bhule se meri taraf koi dekhta na tha
chehre pe ek zakham lagana para mjhe
us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
kal aaine pe hath uthana para mjhe
aise bichar kar us ne mar jana tha
uski nazar main kud ko girana para mjhe
 ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga..!!

Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga,
aaj mera sanam kisi or ka honey laga,

mera chain khoney laga mujhe dard sa honey laga,
jo mera humdard tha yaaro wo kisi or ka honey laga,

wafa ka paikar tha sanam mera,
janey kyun bewafa honey laga,

sansen rukne lagi dil b roney laga,
mera pyaar kisi or ka honey laga...  
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Apni aankhon k sabhi ashk baha kar sona,
Tum meri yaad ka har deep bujha kar sona..

Ek sitara bhi mere khayal ka baqi na rahe,
Chandni shab k nishanat mita kar sona..

Dar lagta hai neend hi kahin chheen na le,
Tera har roz mere khuwab mein aakar sona..

Bad mein log gira den to koi baat nhi,
Har taraf pyar ki deewar utha kar sona..

Subha hote hi tere sheher se jana hai mujhe Wasi,
Aaj ki raat zara mujh ko mana kar sona..
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Mein khush-naseebi hoon teri
Mujhe bhi Raas hai Tu...

Tera Libaas hoon Mein
Mera Libaas hoon Tu

Door ho kar bhi Nahin hai koi doori
Tere kareeb hoon mein mere bhi paas hai tu

Tera Libaas hoon Mein
Mera Libaas hoon Tu
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
jany lagay tere shehr se tu alvida be na keh sake
teri sadgi itni haseen thi ke tughy bewafa be na keh sake

teri kaj-adaaei bhi dekh li, tujhy kaj-adaa bhi na keh saky
teri saadgi ka faraib tha, tujhy be-wafa bhi na keh saky

kaTi saari umr firaaq meiN, yahi aas thi keh mileN gey ham,
hay sitam yahi, dam-e-rukhsati, tujhy alvidaa bhi na keh saky...  
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Itna Qareeb Aao K Jee Bhar K Dekh Lein

Shayad K Phir Milo To Ye Zaoq-e-Nazar Na Ho

Nahin Dekhta Ab Main in Darr-o-Deewar ko

Kia pata Ab in mein Tera Aks Na Ho

Aksar Sochta hun Main Tanhai mein Beth Kar

Ke ab Tujhe wo Beeta hua Kal Yad ho ke Na ho

Ji bhar Ke Dekh Lene do Apni Soorat Ay Jan-e-Tamanna

Kia Pata ke Shaam Phir Ho ke Na ho

Choro Ab Milne ki Khwahish Ay Aem

Kia Pata Un ko Wo Shakhs Yad ho Ke Na Ho...!
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
be-sabab yon hi sar-e-sham nikal atay hain,
ham bulaein to unhein kam nikal atay hain.

rote rote jo hanssa hon to taajub kya hai?
sakhtiyon main bhi to aram nikal atay hain.

aik majnoon hi nahi dehshat main tanha tehra,
rone walon main kaii naam nikal atay hain.

barhaa puhanchay darbar main ouron ki tarah,
daam lagte hain to be-daam nikal atay hain..

nayii tehzeeb ke rozon se ye dekha manzar,
sab ke izhaar se abhaam nikal aatay hain...!
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

2 comments:

  1. hi there

    ur choice is orgasmic,but just 4 ur betterment...some ov your collection is incorrect, if u like i can send u the ryt 1.no hards feelin.... hamidfatehali@yahoo.com

    ReplyDelete
  2. it's an awesome collection !!
    can you provide the mp3 download links of these. I cudn't find.. :(

    ReplyDelete