Saturday, November 6, 2010

~* WASI SHAH *~

POETRY BY: SYED WASI SHAH
Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai,
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai.

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin,
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai.

"Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya,
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai."

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey,
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai.

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se,
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.
 
Wasi Shah
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams.

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.

Wasi Shah
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bari Shiddat Se Main Ne Tumhein Pany Ki Koshish Ki Hai
Ke Har Zarry Ne Mujhe Tum Se Milany Ki Sazish Ki Hai
Teri Nazron Ko Gila Na Ho Kabhi Mujhse
Itna Tot Ke Maine Tujhse Muhabbat Ki Hai
Tere Ehsaas Ki Kabhi Kami Na Ho Mujh Main
Tere Dil Ne Mere Dil Se Kuch Aise Chahat Ki Hai
Har Pal Tera Naam Lon Is Gustakh Zamany Main
Meri Roh Ne Meri Zaban Ko Itni To Ijazat Di Hai
Khoi Fariyad Meri Puhanch Jay ARSH Tak" Wasi"
Kuch Pal Ke Liye Main Ne Teri Ibadat Ki Hai!

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ishq K Baab Me Kch Yun Hy Tmhara, Mera,
Faidey Sare Tmhare Hein Khasara, Mera.

Sukh Juziroon Pe Utarte Howe Us Ne Ye Kaha,
Gham K Daryaaun K Sahil Ka Kinara Mera.

Ger PIYADA Bhe Koi Jeet K Nikla To Tera,
Or Bazi Me Koi SHAH Bhe Hara, MERA.

Dil Bharosa Jo Bht Krne Laga Hy Us Per,
Mujh Ko Ik Roz Doboye Ga, Sahara Mera.

Jeetne Wale Sabhi Tere Tarf Dar Hoye,
Or Is Khel Me Jo Bhe Koi Hara, Mera...

Wasi Shah
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aik Arzoo Hai Pori Parwrdiger Karay
Main Dair Se Jaoon Woh Mera Intzaar Karay
Apne Hathon Se Sanwaron Zulfain Us Ki Mohabbat Ka
Iqrar Karay ...
Lipat Jaye Mujhe Se Aalm-e-Modhoshi Main Aur
Jose-o-Junoon Main Mobabbat Ka Izhar Karay Woh
Shab-E-Wishal Ya Rab!
Ke Bheegi Zulfon Se Mujhe Bedaar Karay...
Jab Usay Chor Ke Jana Chahon "Wasi"
Woh Rokay Aur Aik Raat Ka Israr Karay
Qasam Khuda Ki Main Kisi Aur Ki Ho Nahin Sakti!
Yeh Wahda-e-Wafa Woh Baar Baar Karay!!

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Jo Meri Aankhon Se

Jo Meri Aankhon Sey Khuwaab Dekho
To Aik Bhi Shaab na soo sako Gaye

Kay Lakh chaho na haans Sako Gaye
Hazar chaho na roo sako gay

Kay khuwaab kya hain, azaab hain yeh
Meray dukhoon ki kitaab hain yah

Rafaqatain in mai roothti hain
Mohobatain in mai roothti hain

Ghamoo ki bandish hain khuwaab meray
Dukhoon ki barish hain khuwaab meray

Jo Meri Aankhon Se Khuwaab Dekho
Toh Aik Shaab Bhi Na Soo Sako Gaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoi khusboo Mere Dehleez Ke!
Chandni Raat K Haton Pe Sawar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Utri Hai

Us Main Kuch Rang Bhi Hain'Khuwab Bhi'Mehkar Bhi
Jhilmelaati Hoyee Khuwaish Bhi Hai'Inkar Bhi Hai
Osee Khusboo Main Kahee Dard Bhi'Afsanay Bhi
Osee Khusboo Ne Banayee Kahee Diwanay Bhi

Mere Anchal Pe Umidoon Ki Qataar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Uthri Hai

Osee Khusboo Say Kisi Yaad K Dar'r Khultey Hain
Mere Pairoon Say Jo Leep'tay To Safar Khultey Hain
Yea hee Khusboo Jo Mujhai Ghar Say Utha Laayee Thi
Ab Kisi Toor Palaat Kar Nahi Janay Diatey
Meri Dehleez Bolatey Hai Mujhai K Loot Aoo
Yea Hee Khusboo Mujhai Wapas Nahi Anay Daitey

Ranj Or Dard Main Dubi Yea Bahaar Utri Hai
Koi Khusboo Mere Dehleez K Paar Utri Hai

Chandni Raat K Hatoon Pe Sawar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Utri Hai!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge

Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge

Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge

Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge

Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj Yuh Mausam Ne Di Jhanshan Mohabbat ki Khabar
Phoot Kar Rohne Lagyee Hain Mein Mohabbat Aur Tum

Hum Ne Jonhe Kar Liya Mehsoos Manzil Hai Kareeb
Rashtay Kohney Lage Hain Mein Mohabbat, Aur Tum

Chand Ki Kirnoon Ne Hum Ko Is Tara Bosa Diya
Devta Hone Lagay Hain Mein,Mohabbat Aur Tum

Aaj Phir Maehroomioon Ke Dastaanain Orh Kar
Khaak Mein Sonay Lagay Hain main Mubbat Aur Tum
Koh gaye Andaaz Bhe Awaz Be Alfaz Bhe
Khamoshi Dhohnay Lagay Hain Mein, Mohabbat Aur Tum

Wasi Shah* 
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tamaam Shehar Main Ab To Hai Raaj Kaanton Ka
Mujhe Qubool Nahi Yeh Samaaj Kaanton Ka

Chalo Ke Kuch To Tasalli Hui Mere Dil Ko
Isi Main Khush Hon Ke Paaya Khiraaj Kaanton Ka

Hamare Phool Se Chehron Ko Nochnay Waalon
Kabhi To Tum Pe Bhi Utray Ga Anaaj Kaanton Ka

Sambhal Sakte Nahin Hum Yeh Gham Ki Jageeren
Utaar Li Jiye Sar Se Yeh Taaj Kaanton Ka

Yeh Aur Baat Keh Gul Ki Tarhan Mehekte Rahe
Wagarna Rakhte Thay Hum Bhi Mizaaj Kaanton Ka

Bohat Ajeeb Se Lehjay Main Baat Karta Hai
Hai Aaj Phool Main Kuch Imtezaaj Kaanton Ka

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tum Mere Hoke Raho
Apni Khatir Jagey Ho Soye Ho
Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho
Kis Liye, Aaj Khoi Khoi Ho
Tum Ne Ansoo Bohat Piye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Tum Azal Se Dokhoon Ke Derey Ho
Chahey Khud Ko Ghumoon Main Gehero Ho
Jub Se Paida Hoye Ho Mere Ho
Aaj Kholengey Lab Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere, Sirf Mere Hoke Raho
Aab Mujhe Apne Dard Sane Do
Dil Ki Or Baat Dil Se Kehne Do
Meri Bahoon Main Khud Ko Beney Do
Moddaton Zakham Khud Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho

Husn He Husn Ho, Zahnat Ho
Ishq Hon Main Tu Tum Muhabbat Ho
Tum Meri Bus Meri Amanat Ho
Jee Liye, Jis Qader Jiye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Rehte Ho Ranj-O-Gham Ke Gheron Main
Dukh Ke, Aasaib Ke Baseron Main
Kaise Choron Tumey Andhero Main
Tum Ko De Donga Sub Diye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Aab Mere Sirf Mere Hoke Raho

*Wasi Shah*
"Mere Hoke Rahoo"
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khoi khusboo Mere Dehleez Ke!

Chandni Raat K Haton Pe Sawar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Utri Hai

Us Main Kuch Rang Bhi Hain'Khuwab Bhi'Mehkar Bhi
Jhilmelaati Hoyee Khuwaish Bhi Hai'Inkar Bhi Hai
Osee Khusboo Main Kahee Dard Bhi'Afsanay Bhi
Osee Khusboo Ne Banayee Kahee Diwanay Bhi

Mere Anchal Pe Umidoon Ki Qataar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Uthri Hai

Osee Khusboo Say Kisi Yaad K Dar'r Khultey Hain
Mere Pairoon Say Jo Leep'tay To Safar Khultey Hain
Yea hee Khusboo Jo Mujhai Ghar Say Utha Laayee Thi
Ab Kisi Toor Palaat Kar Nahi Janay Diatey
Meri Dehleez Bolatey Hai Mujhai K Loot Aoo
Yea Hee Khusboo Mujhai Wapas Nahi Anay Daitey

Ranj Or Dard Main Dubi Yea Bahaar Utri Hai
Koi Khusboo Mere Dehleez K Paar Utri Hai

Chandni Raat K Hatoon Pe Sawar Utri Hai
Koi Khusboo Meri Dehleez K Paar Utri Hai!!

Wasi Shah
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ankhien Rotee Hain
Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Jaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..
Saahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Mehaki Mehaki Si Hain Aankhee
Us Lamhee Se Meri Khwaab Main
Tum Ne Hont Rakhe Hain Jab Se Jaltii Aankhoo Per!

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
waqt chaltaa hi raha karta hai
rukta toa nahi
laog miltay hain
bichar jatay hain
phir miltay hain
raastay haath nahi aatay
aur kabhi
pairoan se aa aa kay lipat jatay hain
yunhi aik aas si rehti hai hamain
mumkin hai
inhi raastoan pe achanak yunhii chaltay chaltay
kal nahi aaj, nahi aaj toa kal
dil ki dharti pe kisi roaz khilo gay tum bhi
dil ye kehtaa hai kay
aik roaz milo gay tum bhi!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Main Khush Nasebi Ho Teri
Mujhe Bhe Ras Hai Toh
Tera Libaas Ho Main
Aur Mera Libaas Hai Toh
Ajeeb Shay Hai Mohabbat Ke Hum Kahie Jaye
Tere Pass Ho Main Bhe Mere Bhe Pass Hai Toh
Maie Khudh Ko Faramosh Kia Tere Liye
Aam Hai Sara Jaha Mere Liye Khass Hai Toh
Band Hoto Par Mere Reeth Jami Jati Hai
Mere Pass Hai Phir Bhe Meri Pyas Hai Toh
Drmiyan Tere Mere Jab Se Loug Ane Lagay
Usk Bad Se Main Tanha Aur Be Ass Hai Toh
Tera Libas Ho Main Aur
Mera Libaas Hai Toh.

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aik Yehe Ass He Kafi Hai Mere Jeene Main
DiL Nahi Aap Dharakte Hain Mere Seene Main
Tujh se jo ghao Miley DiL se laga lete hian
Kitni Lazat Hai Teri Zaat Ke Ghum Peene Main
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Sulag Rahi Hain Agar Battiaan Sii Mujh Main Wasi
Tumhari Yaad Ne Mehkka Diya Jalla Bhi Diya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Khamosh Hein Aankhein
Khamosh Hein Aankhein
Phir Bi Koch Khe Rahi Hein Aankhein
Dil Fareb Hein Aankhein
Phir Bi.........
Udas Hein Aankhein
Phir Bi........
Khamoosh Hein Aankhein
Phir Bi Kholi Kitab Hein Aankhein

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
kaas k hath bandhey huey they kharey they darakht
chandni paon perh rahi thi mere
raston per sakooot tari tha
shab ki ankhon sey ashk jari they
jugnuon ney hazar minnat ki
titliyan rung sey lubhane lagin
khushbuen mehfilein sajane lagin
phool khushyan bikherne mein magan
mujh ko awaz de raha tha kangan
sochta hun yeh gher ko jate huey
sara mahol rokta tha mujhey
sarey mousam mujhey bulatey they
jab k in sab sey dosti thi meri
mein kisi haal mein nahi thehra
mein kisi tor bhi nahi manaa
sochta hun yeh gher ko jatey huey
tum sey rishta nahi mager phir bhi
tum ager roktin to ruk jata
tum ager roktin to ruk jata.

Wash shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Falak Pe Chand Ke Haalay Bhi Sog Karte Hain
Jo Tu Nahin to Ujaalay Bhi Sog Karte Hain

Tumhare Hath Ki Choori Bhi Bain Karti Hai
Hamare Hont Ke Taalay Bhi Sog Karte Hain

Nagar Nagar Main Woh Bikhray Hain Zaalim Ke Manzar
Hamari rooh ke chaalay bhi sog karte hain

Usay Kaho Ke Sitam Main Woh Kuch Kami Kar De
Ke Zulm Tornay Waale bhi Sog Karte Hain

Tum Apne Dukh Pe Akele Nahi Ho Afsurda
Tumhara Chahne Waale Bhi Sog Karte Hain

Wasi Shah*
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar
Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum

Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum

Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya
Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker
Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum

Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi
Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho

Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho

Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho

Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho

Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho

Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho

Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta 
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Gungunatay Huay Aanchal Ki, Hawa De Mujh Ko
Ungliyaan Pher Ke Baloon Mey, Sula De Mujh Ko

Jis Terha Faltu Guldan Pare Rehtay Hain
Apnay Gher Ke Kisi Konay Se Laga De Mujh Ko

Yaad Ker Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogi
Aik Qissa Hoon Purana Sa Bhula De Mujh Ko

Dobtay Dobtay Aawaaz Teri Sun Jaon
Aakhri Baar Tu Sahil Se Sada De Mujh Ko

Mein Tere Hijar Mey Chup Chaap Na Mer Jaon Kahin
Mein Hoon Saktay Mey Kabhi Aakay Rula De Mujh Ko

Dekh Mein Hogaya Bad-naam Kitabon Ki Terha
Meri Tash’heer Na Ker Ab Tu Jala De Mujh Ko

Rothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aisay Naraaz Na Ho, Hans Ke Dikha Day Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyon Mey Pari Khaak Bana De Mujh Ko

Loog Kehtay Hain Keh Ye Ishq Nigal Jata Hai
Mein Bhi Is Ishq Mey Aaya Hoon, Dua De Mujh Ko

Yehi Ouqaat Hai Meri Tere Jeevan Mey Keh Mein
Koi Kamzoor Sa Lamha Joon, Bhula De Mujh Ko
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

1 comment: